Pakistani Buffalo Farm & Information
Buffalo ka taruf.
Is ke char tagain hoti hai do front or do back or do akhain hoti hain 2 kaan hoty hain do seengh hoty hain body, west, chest, dhoodh nikalny waly char than hoty hain or ek pouchhal hota hai iska aksar rang kala hota hai ya kabhi kabhi brown bhe hoti hai isko ghar m rakha or pala jata hai iska bachhra ek saal tak dhoodh peeta hai or char saal main full jawan hota hai jawan hany ek y bhe pachan hoti hai ke us ky do dant gher jaty hain or uski jaga do bary dant nikal aty hain or wo male ho ya female wo qurbani ky liye qualified hota hai. Buffalo ky pakistan main do qisim hoti hain Sahiwali or badini paani wali buffalo. wo kaly range ya half kaly rang ke or brown hoti hain or bull ke tarah nazar ati hain. Sahiwali buffalo ek bara janwar haij iske lambai do sy char meter oanchai 0.6 sy 1.8 meter (3.5 sy 5.5 foot) or wazan350kg sy 850kg or (600 pound sy 1900 pound) ky darmiyan hota hai or badini buffalo bhe is tarah ka hota hai.
Buffalo ke khorak.
wo buniyadi tor par gass khati hain or jab gass ke kami hoti hai to wo jareyoan or darakhtoan ko bhe kha lyty hain or ager warry main hoti hain to un ko achi khorak dy ky dhoodh hasel kia jata hai jetni achi or ziyada khoarak hogee utna dhoodh bhe ziyada dy ty hain or un ke sehat bhe achi banti hai in ko do time bhe pilaya jata hai or iska ek din main do time bhe dhoodh nikala ja sakta hai.
Sahiwali or Badini Buffalo ky warry.
Sahiwali or badini buffalo ky bary warry main rakhi jati hain jis main kam sy kam bees sy panch so tak buffalo rah sakti hain
Aam tor par warry chhoty hoty hain jin main ek warry main pachees sy pachaas buffalo har warry main rakhti hoti hain
Jab wo josh o larai py ajain to in ky sameny nahain jan chahye byshak wo jawan ho ya borhi ya kamzor ya bacha ho un sy
us time bachna chahiye. Sahiwali buffalo ke beenai kamzor hoti hai mager soangeny ke salahiyat buhat ziyada hoti hai sahiwali buffalo ke life bees years hoti hai or is ka bachhra ek saal tak iska dhoodh peeta rahta hai or ek saal tak isky ky sath buhat mazboot rishta rahta hai pakistan main kesi bhi dosray paltu janwar ky muqabelay main buffalo logoan ko ziyada marta hai mager bull or cow, sy larai m kam hota hai.
Buffalo ky faidy.
Isko hum ek jaga py rassa dal ky bandky rakhty hain jisy hamain y faida hota hai ke ek to plat kam use hota hai or rakhny main asaani ho jati hai isko ghar m rakh ky apny ghar ke buhat zoririyat poori kar sakty hain iska dhoodh hasel kar sakty hain or y ek saal bad ek bachhra bhe deti hai hamary incom main bhe izafa hota hai or isky dhoodh sy hum lassi makhan or desi gheeh bhe bana sakty
hain or iska ka goasht khany ka maza he apna hota hai.